Bhuli hui Sada hun Mujhe Yaad kijiye
bhuli hui sada hun mujhe yaad kijiye
tum se kahin mila hun mujhe yaad kijiye
manzil nahin hun KHizr nahin rahzan nahin
manzil ka rasta hun mujhe yaad kijiye
meri nigah-e-shauq se har gul hai dewta
main ishq ka KHuda hun mujhe yaad kijiye
naghmon ki ibtida thi kabhi mere nam se
ashkon ki intiha hun mujhe yaad kijiye
gum-sum khaDi hain donon jahan ki haqiqaten
main un se kah raha hun mujhe yaad kijiye
‘saghar’ kisi ke husn-e-taghaful-shiar ki
bahki hui ada hun mujhe yaad kijiye
AYE DIL-E-BEQARAAR C
Aye dil-e-beqaraar chup ho ja,
Jaa chuki hai bahaar chup ho ja,
Ab na aayen ge roothne wale,
Deeda-e-ashk–baar chup ho ja,
Jaa chuka karvaan e laal-o-gul,
Urr raha hai ghubaar chup ho ja,
Chhuut jaati hai phool se khushbuu,
Rooth jaate hain yaar chup ho ja,
Hum faqiron ka iss zamaane mei,
Kaun hai gham-gusaar chup ho ja,
Haadson ki na aankh khul jaaye,
Hasrat-e-sogvaar chup ho ja,
Geet ki zarb se bhi ae Saghar,
Toot jaate hain taar chup ho ja..
Log Kehte hain Zamane mein – Sad poetry Saghar Siddiqui