Parakhna Mat Parakhne Mein – Shayari Bashir Badr
parakhna mat parakhne se koi apna nahin rehta
kisi bhi aaeinay main dair tak chehra nahin rehta
badey logon se milne main hammesha faasla rakhna
jahan deriya samander se mila deriya nahin rehta
hazaron shaer mere sou gaye kaaghaz ki qabron main
ajab maa hoon koi bacha mera zinda nahin rehta
tumhara shehar tou bilkul naye andaaz wala hai
humarey shehar main bhi koi ab hum sa nahin rehta
muhabbat aik khushboo hai hamesha saath chalti hai
koi insaan tanhayi main bhi tanha nahin rehta
koi baadal harey mausam ka phir ailaan kerta hai
khizaan k baagh main jab aik bhi patta nahin rehta