kahin mile to usse kehna ke tanha sawan bita chuka hoon main saarearmaan jala chuka hoon jo sholay bharke the khuahishon ke wohaansuon se bhuja chuka hoon.. ‘kahin mile to usay yeh kehna k’ bagair uske udaas hoon main badalti rut ka qiyas hoon main bhujade apni mohabbaton se sulagti sadion ki piyas hoon main ‘kahin mile to usay yeh kehna ke’ dia jo nafrat ka zehar usne samajh ke amrit peeraha hoon k bari mushkil se jeeraha hoon ‘kahin mile to ussay yeh kehna k’ woh mere jazbe kuchal gaee hai na badlemausam bhi itna jaldi woh jitni jaldi badal gai hai ‘kahin mile to ussay yeh kehna k’ fasl-e-nafrat gera raha hoon gaye dino ko bhula raha hoon wohapne vaade se phir gai main apne vaade nibha raha hoon ‘kahin mile to usay yeh kehna’ k na dil main koi malaal rakhe hamesha apna khayal rakhe apnesaaregham mujhko dede aur tamam khushian sambhal rakhe ‘kahi mile to usay yeh kehna..!