Ghazal – Ranj e Firaq Yaar Mein Ruswa Nahin Hua – Munir Niazi Poetry

Ranj-e-Firaq Yaar Mein Ruswa Nahin Hua
Itna mein chup hua ke tamasha nahin hua

aisa safar hai jis mein koi hamsafar nahin
rasta hai iss tarah ka ke dekha nahin hua

mushkil hua hai rehna humein is diyar mein
barson yahan rahay hein yeh apna nahin hua

woh kaam shah-e-shehar se ya shehar se hua
jo kaam bhi hua yahan acha nahin hua

milna tha aik baar usay phir kahin Munir
aisa mein chahta tha par aisa nahin hua

Poet: Munir Niazi

About admin

Check Also

Watan Ko kuch Nahi KHatra by Habib Jalib

Watan Ko kuch Nahi KHatra by Habib Jalib vatan ko kuchh nahīñ ḳhatra nizām-e-zar hai …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *