Ghazal by Munir Niazi- Ye Kaisa Nasha Hai Main Kis Ajab Khumar
admin December 16, 2020 Munir Niazi Poetry, Urdu Ghazal 15 Views

Ye Kaisa Nasha Hai Main Kis Ajab Khumar Mein Hoon
Ye Kaisa Nasha Hai Main Kis Ajab Khumar Mein Hoon
Tu Aa Ke Ja Bhi Chuka Hai Main Intezar Mein Hoon
Makaan Hai Qabar Jisey Log Khud Banatey Hain
Main Apne Ghar Mein Hoon Ya Main Kisi Mazaar Mein Hoon
Dar-E-Faseel Khula Ya Pahaad Sar Se Hatla
Main Ab Giri Hui Galiyon Ke Marg-Zaar Mein Hoon
Bas Itna Hosh Hai Mujh Ko Ke Ajnabi Hain Sab
Ruka Hua Hoon Safar Mein Kisi Dayaar Mein Hoon
Main Hoon Bhi Aur Nahin Bhi Ajeeb Baat Hai Yeh
Ye Kaisa Jabr Hai Main Kis Ke Ikhtiyar Mein Hoon
Munir Dekh Shajar Chaand Aur Deewaren
Hawaa Khizaan Ki Hai Sar Par Shab-E-Bahaar Main Hoon