Farz Karo Hum Ahl-e-Wafa Hon – Urdu Poetry by Ibn e Insha
admin December 9, 2020 Urdu Ghazal 111 Views

Farz Karo Hum Ahl-e-Wafa Hon, Farz Karo Dewane Hon
Farz Karo Ye Donon Baaten, Jhuti Hon Afsane Hon
***
Farz Karo Ye Ji Ki Bipta, Ji Se Jor Sunai Ho
Farz Karo Abhi Aur Ho Itni, Aadhi Hum Ne Chupai Ho
***
Farz Karo Tumhein Khush Karne Ke, Dhundhe Hum Ne Bahane Hon
Farz Karo Yeh Nain Tumhaare, Sach-much Ke Mai-khane Hon
***
Farz Karo Ye Rog Ho Jhuta, Jhuti Peet Hamari Ho
Farz Karo Is Peet Ke Rog Mein, Sans Bhi Hum Par Bhaari Ho
***
Farz Karo Ye Jog Ba-jog Ka, Hum Ne Dhong Rachaya Ho
Farz Karo Bas Yahi Haqiqat, Baqi Sab Kuch Maya Ho
***
Dekh Meri Jaan Kah Gae Bahu, Kaun Dilon Ki Jaane ‘hu’
Basti Basti Sahra Sahra, Lakhon Karen Dawane ‘hu’
***
Jogi Bhi Jo Nagar Nagar Mein, Mare Mare Phirte Hain
Kasa Liye Bhabut Ramae, Sab Ke Dware Phirte Hain
***
Shair Bhi Jo Mithi Bani Bol Ke, Man Ko Harte Hain
Banjare Jo Unche Damon, Ji Ke Saude Karte Hain
***
In Mein Sachche Moti Bhi Hain, In Mein Kankar Patthar Bhi
In Mein Uthle Pani Bhi Hain, In Mein Gahre Sagar Bhi
***
Gori Dekh Ke Aage Badhna, Sab Ka Jhuta Sachcha ‘hu’
Dubne Wali Dub Gai Wo, Ghara Tha Jis Ka Kachcha ‘hu’
