Bhooli hui sada hoon mujhe yaad kijiye – Urdu Ghazal by By Sagar Siddiqui

Bhooli hui sada hoon By Sagar Siddiqui

bhuli hui sada hun mujhe yaad kijiye
tum se kahin mila hun mujhe yaad kijiye

manzil nahin hun KHizr nahin rahzan nahin
manzil ka rasta hun mujhe yaad kijiye

meri nigah-e-shauq se har gul hai dewta
main ishq ka KHuda hun mujhe yaad kijiye

naghmon ki ibtida thi kabhi mere nam se
ashkon ki intiha hun mujhe yaad kijiye

gum-sum khaDi hain donon jahan ki haqiqaten
main un se kah raha hun mujhe yaad kijiye

‘saghar’ kisi ke husn-e-taghaful-shiar ki
bahki hui ada hun mujhe yaad kijiye

 

About admin

Check Also

Watan Ko kuch Nahi KHatra by Habib Jalib

Watan Ko kuch Nahi KHatra by Habib Jalib vatan ko kuchh nahīñ ḳhatra nizām-e-zar hai …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *